Showing posts with label Roohani Kalam. Show all posts
Showing posts with label Roohani Kalam. Show all posts

Allah Too Hi Too...

Author: Admin Labels:: ,

Mere Maula !
Mujhe Teri Dozakh Ka Khauf Nahi
Aur Na Hi
Teri Jannat Ki Koi Khwahish Hai
Main
Sirf Teri Ibaadat Hi Nahi Karti
Tujhse Muhabbat Bhi Karti Hoon
Mere Liye Too Hi Kaafi Hai
Allah Too Hi Too...
-Firdaus Khan

0 comments |

Kalma...

Author: Admin Labels:: ,


Mere Maula !
Pahle Zuban par
Kalme Ki Tarah
Uska Naam Rahta Tha...
Lekin
Ab Shaam-O-Sahar Zuban Par
Sirf  Aur Sirf
Kalma Hi Rahta Hai...
Wo Ishq-e-Haqeeqee Tha
Aur
Ye Ishq-e-Mijaazi Hai...
-Firdaus Khan

0 comments |

Rahmaton Ki Baarish

Author: Admin Labels::

Sarkaar-e-Do Aalam Hazrat Muhammad Sallallaahu Alaihi Wasallam Ko Samarpit Firdaus Khan Ka Kalaam

Mere Maula !
Rahmaton Ki Baarish Kar
Hamare Aaqa
Hazrat Muhammad Sallallaahu Alaihi Wasallam Par
Jab Tak
Kaaynaat Raushan Rahe
Sooraj Ugata Rahe
Din Chadhta Rahe
Shaam dhalti Rahe
Aur Raat Jati-Jaati Rahe
Mere Maula !
Salaam Naazil Farma
Hamaare Nabi Sallallaahu Alaihi Wasallam
Aur Aale-Nabi Ki Roohon Par
Azal Se Abad Tak...
-Firdaus Khan

0 comments |

Sajda...

Author: Admin Labels::


Mere Maula
Mera Ek Sajda
To Aisa Ho
Jo Tujhe Pasand Aa Jaaye...
-Firdaus Khan

0 comments |

या हुसैन

या हुसैन

بسم الله الرحمن الرحيم

بسم الله الرحمن الرحيم

Allah hu Akbar

Allah hu Akbar
अपना ये रूहानी ब्लॉग हम अपने पापा मरहूम सत्तार अहमद ख़ान और अम्मी ख़ुशनूदी ख़ान 'चांदनी' को समर्पित करते हैं.
-फ़िरदौस ख़ान

This blog is devoted to my father Late Sattar Ahmad Khan and mother Late Khushnudi Khan 'Chandni'...
-Firdaus Khan

इश्क़े-हक़ी़क़ी

इश्क़े-हक़ी़क़ी
फ़ना इतनी हो जाऊं
मैं तेरी ज़ात में या अल्लाह
जो मुझे देख ले
उसे तुझसे मुहब्बत हो जाए

List

My Blog List

Popular Posts

Followers

Translate

Powered by Blogger.

Search This Blog

इस बलॊग में इस्तेमाल ज़्यादातर तस्वीरें गूगल से साभार ली गई हैं
banner 1 banner 2