Khane se Pehle aur Baad ki Sunnatain

Author: फ़िरदौस ख़ान Labels::


1. khana khane se pehle bismillah (Bismillahi wa ala baraka Tillah) padhlena chahiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne aik km umr sahabi R.A se khitab karte huwe ye hukum diya, “ aye bacche! Allah ka Naam lo, sidhe hath se khao aur apne samne jo hai waha se khao”.(Muslim)
2. is hadees se bismillah k alawa aur 2 sunnaton ka saboot mila wo ye k sidhe hath se khana chahiye,
3. aur teesri sunnat ye hai k Apne samne se khayen yani jo cheez apne samne hai wo khayen.
4.khane k douran agar luqma gir jaye to us ko saaf kar k khalena chahiye Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya: Jub tum me se kisi k hath se luqma gir jaye to jo kuch us ko laga ho wo door karde phir khale.(Muslim)
5.Teen ungliyon se khayen, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Teen ungliyon se khaya karte the.(Muslim)Han! Agar koi aisi cheez ho jis ka Teen ungliyon se khana mumkin na ho to phir gunjayesh hai char ya panch ungliyon se khayen.
6. khane k baad bartan ko saaf Karen aur ungliyon ko chat lain, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne ungliyon ko chat laine aur bartan (plait) ko saaf karne ka hukum diya aur farmaya k tum nahi jante k kis dane me barkat hai.
7. khane k baad Allah Tala ki Hamdo sana bayan Karen, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya , Allah Tala us bande se razi hote hai jo khaye phir us per Allah Tala ki tareef bayan Karen.(Muslim)
8. Khane k baad ki wo dua padhe jis me Allah ki Hamd-o-sana hai, “Alhamdulillahilladzi at 'amana wasaqana waj 'alna minal muslimin” Shukr hai Allah ka jis ne hum ko khilaya aur pilaya aur hum ko musalman banaya.(jame tirmizi)
1.Dono hath gattho tak dhona.2.Dastarkhwan bichana.3.Bismillah padhna. 4.Daye hath se khana (baye hath se har giz na khaye).5.Apne samne se khana Agar tashtari me kai qisam ki cheezen ho to jo pasnd ho wo khaye kisi ka hath badh raha ho to Apne hath ko rok le.6.Teen ungliyon se khana.7.Pyala tashtari Neez ungliyon ko chat kar saaf karna.8.Agar luqma gir jaye to utha kar khalena.9.khane me ayeb na lagana.10.Taik laga kar na khana.11.khane k baad ki dua padhna.12.pehle dastarkhwan uthana, phir khud uthna.13.kulli karna.14.dono hath dhona.15.khane se pehle bismillah bhool jaye to ye dua padhe (bismillahi awwalahu wa akhirahu).Allah k Naam k sath khane k shuru me bhi aur us k Aakhir me bhi.
(Sunan Abi Dawood)

0 comments |

Post a Comment

بسم الله الرحمن الرحيم

بسم الله الرحمن الرحيم

Allah hu Akbar

Allah hu Akbar
अपना ये रूहानी ब्लॉग हम अपने पापा मरहूम सत्तार अहमद ख़ान और अम्मी ख़ुशनूदी ख़ान 'चांदनी' को समर्पित करते हैं.
-फ़िरदौस ख़ान

This blog is devoted to my father Late Sattar Ahmad Khan and mother Late Khushnudi Khan 'Chandni'...
-Firdaus Khan

इश्क़े-हक़ी़क़ी

इश्क़े-हक़ी़क़ी
फ़ना इतनी हो जाऊं
मैं तेरी ज़ात में या अल्लाह
जो मुझे देख ले
उसे तुझसे मुहब्बत हो जाए

List

My Blog List

  • नीले और सुनहरे रंग का स्वेटर... - *फ़िरदौस ख़ान* जाड़ो का मौसम शुरू हो चुका था. हम उनके लिए स्वेटर बुनना चाहते थे. बाज़ार गए और नीले और सुनहरे रंग की ऊन ख़रीदी. सलाइयां तो घर में रहती ही थीं. प...
  • लोकप्रिय नेता थे राजीव गांधी - *किसी भी बेटे के लिए उसके पापा का जाना बहुत तकलीफ़देह होता है... हमें भी अपने पापा की बहुत याद आ रही है... स्वर्गीय राजीव गांधी पापा के प्रिय नेता थे...ह...
  • میرے محبوب - بزرگروں سے سناہے کہ شاعروں کی بخشش نہیں ہوتی وجہ، وہ اپنے محبوب کو خدا بنا دیتے ہیں اور اسلام میں اللہ کے برابر کسی کو رکھنا شِرک یعنی ایسا گناہ مانا جات...
  • 27 सूरह अन नम्ल - सूरह अन नम्ल मक्का में नाज़िल हुई और इसकी 93 आयतें हैं. *अल्लाह के नाम से शुरू, जो बड़ा मेहरबान निहायत रहम वाला है*1. ता सीन. ये क़ुरआन और रौशन किताब की आयतें...
  • Rahul Gandhi in Berkeley, California - *Firdaus Khan* The Congress vice president Rahul Gandhi delivering a speech at Institute of International Studies at UC Berkeley, California on Monday. He...
  • ਅੱਜ ਆਖਾਂ ਵਾਰਿਸ ਸ਼ਾਹ ਨੂੰ - ਅੱਜ ਆਖਾਂ ਵਾਰਿਸ ਸ਼ਾਹ ਨੂੰ ਕਿਤੋਂ ਕਬੱਰਾਂ ਵਿਚੋਂ ਬੋਲ ਤੇ ਅੱਜ ਕਿਤਾਬੇ-ਇਸ਼ਕ ਦਾ ਕੋਈ ਅਗਲਾ ਵਰਕਾ ਫੋਲ ਇਕ ਰੋਈ ਸੀ ਧੀ ਪੰਜਾਬ ਦੀ ਤੂੰ ਲਿਖ ਲਿਖ ਮਾਰੇ ਵੈਨ ਅੱਜ ਲੱਖਾਂ ਧੀਆਂ ਰੋਂਦੀਆਂ ਤ...

Popular Posts

Followers

Translate

Powered by Blogger.

Search This Blog

इस बलॊग में इस्तेमाल ज़्यादातर तस्वीरें गूगल से साभार ली गई हैं
banner 1 banner 2