पैसों में बरकत
Author: Admin Labels:: इस्लाम, ख़िदमत-ए-ख़ल्क, दुआPaison Mein Barkat
Aaj kal sub ka gila hai ke kamaye huwe paiso me barkat nahi hoti kahan se aate hain kahan jaate hain kuch pata nahi chalta!
Maal me burkat aur azafe keliye mujarib wazifa aap ki nazar hai. . .
Jub bhi paisa kahien se bhi mile, hath me jonhi aaye ” Bismillah irahmani Raheem ”
بسم الله الرحمن الرحيم
parhain aur jab bhi kisi ko paisa dain ya koi payment karein to ahista se ” Inna lillahi wa inna ilaihi Rajioon ”
انالله وانااليه راجعون
parhain.
Ab aayie is wazifa ka jaiza lete hain, Bismillah ki barkato se kon waqif nahi? Mukhtasarun iske parhne se barkat hoti hai goya jub aap paise lete hain to usme Allah ki barkat shamil hoti hai aur jub aap Inna lillahi wa ina ilaihi rajioon kehte hain aap is baat ka iqrar karte hain hum Allah he ke hain aur humien usi ki taraf lot ke jana hai, Huzoor s.a.w.s ki hadees k mutabiq nuqsan k waqt isse parhna chahiye chonke humara paisa ja raha hai kum ho raha hai ye bhi to aik tarha ka nuqsan huwa na?
Aik aur riwayat ke mutabiq aik sahabi ki wafat hogai uss sahabi ki biwi ko huzoor s.a.w.s ne isi dua ki talkeen farmayi aur kaha k Inshallah Allah aap ko aap ke nuqsan ke badle behtar cheez dega aur aik din isi dua ki badolat woh bewa huzoor s.a.w.s ke nikah me akar umul momineen bani Allahu Akbar! Issi bara inam aur kia ho sakta hai?
Aap agar iss amal ki mudawamat kariengay Inshallah aap dekhain gay ke kistarha aap ke maal aur paiso me barkat hoti hai.
Courtesy Rohaniyat